TISI KE LADDU KAISE BANAYE? BENEFITS OF ALSI KE LADDU.

Tisi ke laddu health ka bhandar hai, kyuki tisi nutrition se bharpur hota hai. Aaj is blog me dekhenge ki kaise TISI KE LADDU KAISE BANAYE. Lekin usse pahle humlog ye dekhe lete hai ki tisi ki laddu ke fayde kya-kya hai. Apko batate chalu ki ise Alsi ke laddu ke nam se bhi jana jata hai.

Note:

Tisi ko istemal karne se pahle apko kuch bato ka dhyan rkhna parega jaise ki-

  1. Laddu ya phir kisi bhi prakar ka edible item jisme tisi ka istemal ho, tisi ko grind karna(pisna) bahut jaruri hai. Isse digestive system achhe trike se nutrients ko absorb kar pata hai tisi/flaxseed/alsi se.
  2. Jab aap tisi ka sewan kar rhe hai us dauran apko pani accha amount me pina zaruri hota hai. Kyuki ye digestive system se pani jyada absorb karta hai.
  3. Agr apko sewan ke dauran kuch bhi asahaj lage to iske istemal ko km kar den ya phir puri trh se rok de. Ho sakta hai ki apka body iske sath tal mel n baith pa raha ho.

Doodh pitha kaise banaye?

TISI KE LADDU KE FAYDE.

Alsi ke laddu ke bahut sare fayde hai. Chaliye ek-ek karke tisi ke laddu ke fade dekh lete hai. Kisi bhi diet me fiber ki matra jyada hone ki wjh se fullilment mahsus hota hai, jisse aur khane ka craving km hota hai jo weight mangement me bahut hi madadgar hota hai. Aur alsi high fiber content hota hai.

Agr aap tisi ke laddu ka sewan karte hai to, ye apke bones ko bhi fayda pahuchata hai. Kyuki alsi me essential minerals bhi paye jate hai jaise ki, calcium, magnesium or phosphorus. Ye sare minerals bone health ke liye bahut jaruri hote hai.

Alsi me liganans or omega-3 paya jata hai jinke pas sujanrodhi gun hota hai, to iska matlab agr aap tisi ke laddu ka sevan karte hai to ye body ke sujan ko bhi thik karne me madad karta hai. Antioxidants ki wjh se body ka immune system accha rhta hai. Matlab ki ye cells ko damage hone se bachata hai.

Heart Diseases

Dil ke bimari se larne me bahut jyada madad karta hai.

  • Omega-3 Fatty Acids: Tisi ya alsi plant-based omega-3 fatty acid bahut accha source hai. Isme bahut hi accha matra me alpha-lenolenic acid(ALA) paya jata hai. Ye sare fats healthy hote hai. Ye healthy fats, blood cholesterol level ko km karn me madad karta hai aur sath me heart disease hone ke sambhawana ko bhi km karta hai. aur blood pressure ko bhi regulate karta hai.
  • Fiber: Tisi me fiber ki matra jyada hoti hai aur ye Cholesterol ko digestive system me hi rok kr rakhta hai aur use body se bahr nikalne ka kam karta hai ye iske level ko km rkhne me madad karta hai. Isme soluble or insoluble dono hi trh ke fibres paye jate hai. Soluble fibre sugar level ko maintain rkhta hai aur digestive system ko bhi accha rkhta hai. Insoluble fibre constipation se bachata hai.

Hormonal Balance

  • Alsi me bahut hi acche matra me Lignans bhi paya jata hai. Ye ek plant compund hai jiske pas estrogen jaisa gun hota hai. Ye female me hormone level ko regulate karta hai, sath me ye menopausal symptoms me bhi aram pahuchata hai.

Skin or Hair

Isme apko pata hai ki Omega-3 paya jata hai, aur sath me antioxidants bhi paya jata hai, skin aur hair ko nourish karta hai, hair growth ko promote karta hai aur dryness ko bhi km karta hai.

Agr aap tisi ke health benefit ka fayda uthana chahte hai to aap apne diet me alsi ke laddu ko zarur shamil kare.

TISI KE LADDU KAISE BANAYE?

Ye bilkul hi authenic aur traditional tarika hai tisi laddu banane ka.

Sabse pahle dekh lete hai ki, alsi ke laddu banane ke liye kin-kin samagri ki zarurat paregi.

Ingredients for Tisi ke laddu.

Ye laddu banane ke liye niche diye gaye ingredients ki zarurat paregi.

  1. Tisi
  2. Makhana
  3. Safed Til
  4. Mungphali
  5. Gond
  6. Gud
  7. Ghee
  8. Nariyal
  9. Kismis
  10. Gehu ka Aata
  11. Dry fruits of your Choice

Alsi Ke Laddu recipe

Laddoo banane ke liye sabse pahle kadhai ko garam kar le. Garam karne ke baad alsi, safed til, makhana aur mungfali ko alag alag dry roast kar le. Uske baad kadhai me dale ghee dalakr gehu ke aate ko bhoon le. Aur gond ko bhi ghee me bhoon le . Samagri bhoon jane ke baad sabhi ko thandha kar le.

Alsi, til, makhana, mungfali, gond in sabhi ko dardara pis le (aate aur nariyal ko nhi pisna hai). Uske baad ek bara bartan le usme aate aur pisi hui samgari, nariyal aur kishmish ko daal kar achhe se mila le.

Fir kadhai me dale gud aur pani dal kar achhe se pighlale. Dhyan rahe ki gud ko sirf galana hai, tar nhi banne dena hai. Jab gud gal jaye tab gud me ghee dal de. Ghee dalne se ek shine aayega aur sath hi swad bhi badh jayega.

Gud ke achhe se gal jane ke baad gud me sari samagri daal kar acche se mila le. Aur fir halke hatho se gol gol laddu banakar taiyar kar le. Alsi aur tisi ke laddoo banakar aap iss tarah se taiyar karle. Ise aap 10-15 din store kar ke rakh sakte hai.

Aap upar diye gaye video ko zarur dekhe, isse alsi ke laddu banane me apko asani hogi. Healthy tisi ke laddu thand me zarur banaye.

Humare YouTube channel ChaskaMaska ko subscribe karna n bhule.

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Scroll to Top